View Count

Thursday, October 10, 2013

Awaaz kabhi marti nahi: Remembering Jagjit ji on his 2nd Death Anniversary



Awaaz kabhi marti nahi

Kya bhoolen kya yaad Karen, isi mushkil me zindagi guzarti rehti hai. kitne chehre roz nazar se guzarte hain, lekin jaane kyun kuch chehre zehan me bas jaate hain. Yun to chehre sabki pehchan hote hai lekin tumhe maine awaaz se pehchana hai. Aur kyun na pehchaanun ki mera taruff tumhari awaaz se hi hua tha. Meri umr 12-13 saal rahi hogi jab pehli baar tumhari awaaz suni thi. Radio me ek ghazal baj rahi thi. Jitni khoobsurat ghazal thi usse kahin jyada khoobsurat tumhari awaaz thi. 

Kya awaaz marham ho sakti hai? Kya awaaz me jadoo ho sakta hai? Kya awaaz shifa ho sakti hai? Kya awaaz se muhabbat ki ja sakti hai? Kya awaaz me khuda basta hai? Jisne tumhari awaaz suni hai wo janta hai ki in sawalon ka bas ek hi jawaab hai, “haan, Jagjit ki awaaz”

Jhuki jhuki si nazar bekarar hai ki nahi
Daba daba sa sahi dil me pyar hai ki nahi


Pehli baar in lafzo ko suna to tumhari awaaz dil ke us samadar me utar gayi jahan se kuch bahar nahi nikala ja sakta, in gehrayion me bahut kam cheezen milti hai, bas ek do chehre honge aur kuch lamhe. Tumhari awaaz ke sahare maine zehan me tumhari tasveer banayi thi, ab yaad nahi kaisi thi.

Jab log samandar ke kinaare khade ret se khelte rehte hain, tab tumhari awaaz mujhe samandar ke bheetar le gayi, wo duniya jo kisi dharti se kam nahi hai. Wahan mujhe kya kya na mila, wo pursukoon motiyon se chamakte lamhe, wo yadon ki sunhari machliyon ki rawangi, wo tute hue kuch lamhe sheese ki shakl me. Ab is samandar se bahar kaun nikle….

Apni aakhon ke samandar me utar jaane de,
Tera mujhrim hun mujhe doob ke mar jaane de….


Waqt guzarta gaya aur tumhari awaaz mera hissa ban gayi, jisse main alag hona bhi nahi chahta. Akhir kaun is nemat se alag hona chahega? Fir tumhari awaaz to meri hamsafar rahi hai, is sangdil duniya me bhi aur bekhudi ke lamhon me bhi. Tumhari awaaz meri humsaaz rahi hai, us daur me jab koi nahi tha aur tabhi jab sab aas paas the. Tumhari awaaz meri awaaz rahi hai, haan kuch baaten maine kabhi kahi nahi, kyu ki tumne unhe apni awaaz de di, fir mujhe kehne ki zaroorat hi kya thi?

kisko aati hai maseehai kise awaaz dun?
Bol aye khunkhaar tanhaai kise awaaz dun?


Jis maseehai ka intezaar tumhe raha usi ka talabgaar main bhi hun. Tumhari awaaz mere dil ka marham rahi hai. Isne mere dil ko chua nahi sehlaya bhi hai, lori bhi sunayi hai aur jagaya bhi hai. Main jab haar ke ruk gaya tumne mujhe chalne ka hausla bhi diya. Mujhe khwabon ko sajane me madad ki aur agar ye khwab toote to sametne ke liye haath bataya. Suna hai Log kehte hain ab tum nahi ho. Logon ke liye shayad tum nahi hoge lekin mere liye to tum hamesha jinda ho, apni awaaz ki shakl me. Kyu ki awaaz kabhi marti nahi.

Dekhte hi dekte duniya se maiN uth jaaoonga
dekhti ki dekhti reh jaayegi duniya muJhe…..


Utkarsh
© Utkarsh All rights reserved