View Count

Saturday, June 30, 2012

Karke koi jadoo mantar dekhiye


Ishq ka badalta manjar dekhiye,
waqt ke hathon me khanjar dekhiye

sahilon se aayega kya nazar
lahron me utarkar samandar dekhiye

Ishq ka hua na kuch asar uspe

ab karke koi jadoo mantar dekhiye


ahle-jahan me bikhri hai khamoshi
utha hai kidhar se bawandar dekhiye


hone lage hai tajkire khuda se
ek bashar ka mujpe asar dekhiye

lagta hai mujhe insaan se behtar
aap bhi gaur se ek bandar dekhiye

Wednesday, June 27, 2012

Wo nigaahe-naaz jinda hain.

Bichad kar bhi tumse, tumhare ehsas jinda hain
dil me aaj bhi ishq ke, kuch jazbaat jinda hain

kooch-ae-shaher me ek shaks raha karta tha
kooch-ae-dil me ab, uski beja yaad jinda hain

keh to diya tha ussee mar jayenge tere baad
fir jane kyun hum, ghame-jaana ke baad jinda hain


Kuch khwab to hum dafna aaye the yaadon me
kuch khwab aankhon me, bade bebaak jinda hain

band kar li hain is duniya me to aakhen usne
kisi aur duniya me, wo nigaahe-naaz jinda hain.


Friday, June 22, 2012

Bhatakte Rehna


Tumhare khwabon ke jungalon me bhatakte rehna,
Dil ki kismat me to hai beja dhadakte rehna.


Sard raaton ke marg andheron me bhi,
Mahoo-anjum ne kaha bhoola chamakte rehna.

Apni kismat to toofan ki maari machli jaisi,
Geele sahilon pe saanson ke liye machalte rehna.

Hum jo thamenge kisi ka haath, to umr bhar ke liye,
Par jamane ki riwayat me to hai badalte rehna.

Tumhari yaad ke badal jab jab dil pe chaaye hain,
In aankhon ka lehja raha musal.sal baraste rehna.

Ye to duniya hai , bichayegi laakh kaaten,
Aye dil tu bhi magar, apni raah pe chalte rehna.