View Count

Wednesday, June 27, 2012

Wo nigaahe-naaz jinda hain.

Bichad kar bhi tumse, tumhare ehsas jinda hain
dil me aaj bhi ishq ke, kuch jazbaat jinda hain

kooch-ae-shaher me ek shaks raha karta tha
kooch-ae-dil me ab, uski beja yaad jinda hain

keh to diya tha ussee mar jayenge tere baad
fir jane kyun hum, ghame-jaana ke baad jinda hain


Kuch khwab to hum dafna aaye the yaadon me
kuch khwab aankhon me, bade bebaak jinda hain

band kar li hain is duniya me to aakhen usne
kisi aur duniya me, wo nigaahe-naaz jinda hain.


No comments:

Post a Comment