View Count

Saturday, May 04, 2013

Jadoogari

uff ye jadoogari tumne seekhi kahan,
dil mera ek pal me ghum ho gaya...

Wednesday, April 03, 2013

Lady Doctor


Safed coat pehne,
Hathon me stethoscope liye,
Mareez ki nabz ko maapti,
Fir aakhon me jhaankti,
Lady Doctor.

Kitni shiddat se,
Mareez ka muayaana karti,
Fir parche par kuch likhti,
Pursukoo.n lahje me kehti,
Ye do goli subah, ye ek sham me,
Mareez ke chehre par shikan dekh kar
Fir isi baat ko dohraati ,
Aur mud jaati,
Agle mareez ki jaanib.

Main use ek t.ak dekhta raha,
Aur sochta raha,
Kuch logo.n ke chehre,
Unke profession se kitne milte hain,
Shaffaak, pursukoo.n aur farishtanuma.....

Monday, March 04, 2013

Ek sher

Tum mujhe bemurawwat kaho ya badsalook,
main bura sahi, tumhara bhala chahta hun......

Saturday, February 23, 2013

Is bheed me


Dar hai kahin na choot jaaye, Tera haath mujhse is bheed me
kahin chah kar bhi na mile, tera saath mujhse is bheed me

mujhe laga tha ki ab kabhi, na baras sakegi koi khushi,
khile abr-e-ishq jo mil gayi, teri nigaah mujhse is bheed me

tere pyar ki thi mujhe khabar, na keh saka kuch isliye,
darta tha na toot jaaye, tera khwaab mujhse is bheed me

zara faasla jo tay hua, main thithak ke fir ruk gaya,
kahin ittefaqan mil na jaaye, teri raah mujhse is bheed me

mujhe zindagi se kya gila, ki is bewafa se kya mila,
mile haadse nigaah se, aur haar mujhse is bheed me

Pic Source : http://images.fineartamerica.com/images-medium-large/a-face-in-a-crowd-joanne-claxton.jpg

Sunday, February 17, 2013

Silsila Aansuon ka


Fir wahi silsila aansuon ka
Shikwa-o-gila aansuon ka

Dard ki zameen par,
Hai ek kila aansuon ka...

In aakhon ki duniya me,
Har shaks mila aansuon ka...

Usne muhabbat me diya,
dil ko sila aansuon ka...

Yaadon ke mausam me,
Har phool khila aansuon ka...

Monday, December 03, 2012

Tumhari isi ada ne





Gale ki chain ko, 
naak tak laana, 
ungliyon me ghumana, 
hothon se chabana,

Tumhari isi ada ne mera dil chura liya.......

Thursday, November 15, 2012

Payal ka madhu swar

Chupchap tumhare paas, baithe rehna,
hazaron baaten tumse, karne jaisa hai.

bebak tumahri aankhon ko takte rehna,
aayt quran ki, padhne jaisa hai.

kuch kehne ki khatir hothon ka khulna,
mandir ke pat, khulne jaisa hai.

yun hi, meri baaton par hans dena,
nabh me neelkamal ke, khilne jaisa hai.

aur tumhari payal ka madhu swar,
muh me mishri ke, ghulne jaisa hai.