View Count

Wednesday, April 03, 2013

Lady Doctor


Safed coat pehne,
Hathon me stethoscope liye,
Mareez ki nabz ko maapti,
Fir aakhon me jhaankti,
Lady Doctor.

Kitni shiddat se,
Mareez ka muayaana karti,
Fir parche par kuch likhti,
Pursukoo.n lahje me kehti,
Ye do goli subah, ye ek sham me,
Mareez ke chehre par shikan dekh kar
Fir isi baat ko dohraati ,
Aur mud jaati,
Agle mareez ki jaanib.

Main use ek t.ak dekhta raha,
Aur sochta raha,
Kuch logo.n ke chehre,
Unke profession se kitne milte hain,
Shaffaak, pursukoo.n aur farishtanuma.....

Monday, March 04, 2013

Ek sher

Tum mujhe bemurawwat kaho ya badsalook,
main bura sahi, tumhara bhala chahta hun......

Saturday, February 23, 2013

Is bheed me


Dar hai kahin na choot jaaye, Tera haath mujhse is bheed me
kahin chah kar bhi na mile, tera saath mujhse is bheed me

mujhe laga tha ki ab kabhi, na baras sakegi koi khushi,
khile abr-e-ishq jo mil gayi, teri nigaah mujhse is bheed me

tere pyar ki thi mujhe khabar, na keh saka kuch isliye,
darta tha na toot jaaye, tera khwaab mujhse is bheed me

zara faasla jo tay hua, main thithak ke fir ruk gaya,
kahin ittefaqan mil na jaaye, teri raah mujhse is bheed me

mujhe zindagi se kya gila, ki is bewafa se kya mila,
mile haadse nigaah se, aur haar mujhse is bheed me

Pic Source : http://images.fineartamerica.com/images-medium-large/a-face-in-a-crowd-joanne-claxton.jpg

Sunday, February 17, 2013

Silsila Aansuon ka


Fir wahi silsila aansuon ka
Shikwa-o-gila aansuon ka

Dard ki zameen par,
Hai ek kila aansuon ka...

In aakhon ki duniya me,
Har shaks mila aansuon ka...

Usne muhabbat me diya,
dil ko sila aansuon ka...

Yaadon ke mausam me,
Har phool khila aansuon ka...

Monday, December 03, 2012

Tumhari isi ada ne





Gale ki chain ko, 
naak tak laana, 
ungliyon me ghumana, 
hothon se chabana,

Tumhari isi ada ne mera dil chura liya.......

Thursday, November 15, 2012

Payal ka madhu swar

Chupchap tumhare paas, baithe rehna,
hazaron baaten tumse, karne jaisa hai.

bebak tumahri aankhon ko takte rehna,
aayt quran ki, padhne jaisa hai.

kuch kehne ki khatir hothon ka khulna,
mandir ke pat, khulne jaisa hai.

yun hi, meri baaton par hans dena,
nabh me neelkamal ke, khilne jaisa hai.

aur tumhari payal ka madhu swar,
muh me mishri ke, ghulne jaisa hai.


Monday, September 10, 2012

Jaa raha hun



Jaa raha hun, jaa raha hun,
Tumhe chor kar, main jaa raha hun,

Apni majbooriyon ki ek saza hun,
Galatfahmi hai tumahri ki bewafa hun,
Zuban na sahi khamosh labo ki dua hun,
Apni muflasi ki keemat chuka raha hun,
Tumhe chor kar, main jaa raha hun,

Mita sako to khwabon se mita dena,
Jala sako to har tasveer jala dena,
Bhula sako to dil se bhula dena,
Main apni har amanat jala raha hun,
Tumhe chor kar, main jaa raha hun.

Ye sach hai kisi ko itella nahi,
Mere khwabon se ab talak koi mila nahi,
Hakeekat me mulakaton ka silsila nahi,
Khwabon me isliye tumko saja raha hun,
Tumhe chor kar, main jaa raha hun.

Judai ho har taraf, wasl ki raat na ho,
Kisi aur ki khatir dil me jazbaat na ho,
Khuda kare ulfat ka ab ehsaas na ho,
Sab kuch main tum par luta raha hun
Tumhe chor kar, main jaa raha hun.