Bichad kar bhi tumse, tumhare ehsas jinda
hain
dil me aaj bhi ishq ke, kuch jazbaat jinda
hain
kooch-ae-shaher me ek shaks raha karta tha
kooch-ae-dil me ab, uski beja yaad jinda
hain
keh to diya tha ussee mar jayenge tere baad
fir jane kyun hum, ghame-jaana ke baad jinda hain
Kuch khwab to hum dafna aaye the yaadon me
kuch khwab aankhon me, bade bebaak jinda
hain
band kar li hain is duniya me to aakhen usne
kisi aur duniya me, wo nigaahe-naaz jinda hain.